About 84 Tears By Mohit Sharma
Poetry-Comic & Historical Fiction on Bhopal Gas Tragedy (December 1984) & Anti-Sikh Pogroms (October-November 1984). Research, Poetry & Script by Mohit Sharma (Trendster), Artwork by Ravi Shankar.
Description
*Update* 84 Tears is now Free! (ebook only...Paperback k paise lagte hai Lala ji! :p)
1. Free 84 Tears eBook Download -
http://pothi.com/pothi/book/ebook-mohit-sharma-trendster-84-tears
*Search "84 Tears" for download links on Scribd, 4shared, Jumbo Files, Kiwi6, etc websites.
2. Free Online read -
* Readwhere :
http://www.readwhere.com/publication/1670/84-tears
* Scribd :
http://www.scribd.com/doc/98526247/84-Tears-Anti-Sikh-Riots-Bhopal-Gas-Tragedy-1984
* Myebook :
http://www.myebook.com/index.php?option=ebook&id=110821
84 Tears (Anti-Sikh Pogroms & Bhopal Gas Tragedy, 1984)
Year - 1984
Place - India (most populous Democracy in the world), two cold-blooded tragedies within a month in winters of 1984 killed thousands, overshadowed the seasonal celebrations & ceased all the celebrations of coming generations. Millions of people suffered...suffering, awaiting justice.
These events shook the world. Responsible-Guilty people/criminals just shook their head (left to right) saying "No! Not Guilty" & this mixed with money & few formalities proved their innocence. Indian Polity, system remained silent. At least, a pre-recorded voice by Indian Railways often says "Inconvenience caused is deeply regretted."
http://pothi.com/pothi/book/ebook-mohit-sharma-trendster-84-tears
http://www.amazon.com/kindle-store/dp/B00BVBHK00
http://www.goodreads.com/book/show/17376713-84-tears
http://allpoetry.com/journal/9830495-84_Tears__Book_-by-Mohit_Sharma
http://www.readwhere.com/publication/1670/84-tears
Official Facebook Page of 84 Tears By Mohit Sharma (TRENDSTER)
https://www.facebook.com/84.Tears
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------
So Here Comes My Review over this Wonderful Book
84 TEARS
Review : Bhopal gas Tragedy
Aapki likhi huyi poem bahut achchi hai…poori ghatna ka sunder shabdon mein aapne kavita ke saath dikhaya hai.
Lekin aisi tragedies ke bare mein baat karke unsse kuch seekhna jyaada jaroori hai…iss samaaj ke liye…..ki aage aisa kuch naa ho…jiske liye Hazaaron logon ko lambi keemat chukaani pade….
Jis Desh mein Insaani jeevan ko aage le jaane waale kaam ka saara credit desh ki leadership ko chahiye….uss desh mein badlaav laana bhi aasaan kaam nahin hai.
Paisa jo har buraai ki jad hota hai….woh har aisi tragedy ke peeche sabse bada primary reason bhi hai….aur aaj bhi aisi hazaaro factories waise hi chal rahi hain….haan bhagwaan ki kripa se waisa doosra haadsa dikha nahin…
Ek point aapne uthaya tha….ki Factory ke aas paas ek badi basti kyun basaayi gayi….kya aaj aisa nahin ho raha?
Humara desh aisa hai ki yahan log wahin thookna pasand karte hain…jahan likha hota hai…”yahan Thookna mana hai”….
Badlaav laana hai toh neeche se laaya jaata hai….Bachpan se hi agar sahi education di jaayegi….toh wahi aage bhi kaam aayegi….
Jaroorat hai…Aankhen khuli rakhkar sahi faisale lene ki….aur Apneandar ki Logon ki help aur insaani bhaawna ko hamesha zinda rakhne ki.
Aapne ek achcha kadam uthaya hai…jyaada se jyaada log iss haadse ke baare mein padhenge toh sochnge bhi jaroor aur aage aisa naa ho…iske liye kuch karenge bhi..chahe kisi bhi tarah .
Ravishanker ji ka banaya artwork bahut Shaandar hai….aur haadse ko achchi tarah se dikha raha hai.
(Anti-Sikh Pogroms, October 31-November 3, 1984)
Aapne shuru mein bataya hai…ki Aapke College jeevan mein ek ghatna huyi jisme aapko maaloom chala ki inn dango ke bare mein kisi doosre ko jyaada kuch pata nahin tha…jisse aap shock reh gaye….Aapne kuch socha aisa kyun hua??
Desh mein ek education system chalta hai…jab se Hum Aazaad huye 1947 ke baad se….yeh system Ruling parties ke according chala hai….aur uss samay ki ruling party ne har cheez ko apne hisaab se Use kiya hai…usne bachcho ko ghutti ki tarah yeh pilaya ki Ek “Dharam Vishesh” ke bande ne Indira ji ko maara tha…lekin usne kabhi yeh batane ki koshish vast level par nahin kari ki iske peeche ki wazah kya rahi….aur agar kuch bataya bhi toh sufficient aur poora nahin bataya….yeh wazah kaaphi hai sabkuch samjhne ke liye.
Yeh waale dange bhi kuch hi logon ki wazah se huye the…jinhone Ek dharma ke liye alag Zameen ki talaash mein hazaaron logon ko bargalaaya aur khoon bahane ke liye uksaya….
Aise har False movement mein Insaaniyat ke liye kuch bachta nahin hai….Kuch samay ke aakrosh mein Dimaag kaam karna band kar deta hai….aur Haath kya kar rahe hai…yeh Dil sunna nahin chahta..
Sirf yahi kahenge ki Samaaj ko Raajneeti mein badlaav lane ki koshish karni chahiye….Naa ki Raajneeti ko Samaaj mein Dakhal daalne ki aazaadi deni chahiye…tabhi in cheezon par rok lagegi.
Aapki likhi kavita bahut sunder hai…uss waqt ke dard ko mehsoos kara rahi hai.
Lekin hum Artist Ravi Shanker ji ke liye kehna chahenge ki unhone iss book mein bane huye ek ek artwork ko itni khoobsoorti ke saath Aapke Shabdon mein piroya hai….ki yeh kahte hum hichak nahin lag rahi….ki iss joint work mein woh bhaari pad gaye hain…hehe….
Yeh ek Khoobsoorat Book hai…aur Saraahneey prayaas hai…Aap logon ka…..Book ki safalta ke liye Shubhkaamnaayein.
No comments:
Post a Comment