About
'Desi-Pun! (Yo Pun Intended) - Almost 25 Indiastic Stories' is a short story collection by Mohit Sharma (Trendster).
Description
"There are quite a few synonyms of “Contrast” like Dissimilarity, Variation, Gap, Difference, Divergence, Unlikeness, Disparity etc. I want to add one more word in this list “India”. This crazy country is beautiful, vibrant & deep. When you think that you know a lot about India it presents some new permutation & combination leading to countless invisible probabilities.
These ‘punny’ stories attempt to cover few related yet contrasting aspects present in India. I wrote many write-ups during my school & graduation years & I have quite a few promising ideas in my rugged jhola. I will continue to explore India & write on imperative aspects related to Bharat."
http://pothi.com/pothi/book/ebook-mohit-sharma-trendster-desi-pun
http://www.readwhere.com/publication/1669/desi-pun
http://www.goodreads.com/book/show/17376673-desi-pun
https://www.smashwords.com/extreader/read/121555/1/desi-pun
http://www.scribd.com/doc/98525016/Desi-Pun-by-Mohit-Sharma-Trendy-Baba
http://www.rajcomics.com/index.php?option=com_myblog&show=desi-pun-story-collection-by-mohit-sharmatrendster.html&Itemid=322
http://freelance-talents.blogspot.in/2012/01/desi-pun-story-collection-by-mohit.html
Official Facebook Page of 'Desi-Pun! (Yo Pun Intended) - Almost 25 Indiastic Stories' is a short story collection by Mohit Sharma (Trendster)
https://www.facebook.com/desi.pun.book
------------------------------------------------------------------------------------------------
So Here Comes My Review over this Wonderful Book
Review of Desi–Pun!Yo! Pun Intended..Almost 25 Indiastic Short Stories.
1) - Sorry! Smt. Menaka Gandhi ji
Pehli story aapne bahut bade aur sensitive issue par likhi hai….kahani ko mostly peoples pasand karenge ispar humein shaq hai….kyunki yeh bahut cruel hai…yeh maana jaa sakta hai ki jis Insaan ke paas khud ki zindagi achchi tarah bitane ke liye cheezein nahin hain…woh ek Jaanwar ko kahan se paalega….But abhi bhi Samaaj ka bada Hissa uss level par nahin aaya hai jahan tak isme dikhaya gaya hai…..yeh story padhne waale ke mann ko uttejit nahin kar paati balki uska BP high karwa deti hai…Humein jaanwaron se bahut pyaar hai….isliye shayad hum aisa kuch padhna nahin chahte…
2) – Henna Arrest
Yeh story likhi gayi hai kuch samay ek ladki ke parlour mein apni shaadi ki mehndi lagwane ke beech gujre palo ke bare mein….
Aapne ek ladki ki nazar se uss jagah ke mahaul ko bahut sunder words ke saath present kiya hai….ladki ke dimaag mein bahut si cheezein ghoom rahi hain….
Yeh ek badhiya anubhav tha….Kisi ladki ke bhaavo ko aapne kaaphi achchi tarah se likha hai.
3) - Social Modeling
Isse padhkar bahut mazaa aaya….NGO’s ke baare mein unke kaam karne ke tareeko par aapne bahut jordaar teer chalaya hai….
Uss Hippy social worker ke baare mein padhkar bahut hasi aayi jiski acting foreigners ko prabhavit kar gayi….kuch jyaada hi…haha
Aur yeh jaankar achcha laga ki India ne videshiyo ki nazar mein Saanpo ke desh se alag hatkar 4 nayi cheezon par tarakki kar li hai…lol
4) – ‘Disputed’ Champions
Allah Meharbaan toh gadha pehalwaan….iss story mein yeh fit baitha…..wild card entry lene waale players kaise trophy jeet jaate hain…ispar kya kahein….yeh toh upar waali ki mehar se hi possible ho sakta hai ya writer ki kalam se.
Yeh waali story bahut mazedaar hai.
5) – Fire’s Sermon
Yeh humne kaaphi pehle bhi padha hua hai…yeh humare aas paas rehne waale har uss insaan ke baare mein hai jiski ek chavi hum apne dimaag mein bina usse jaane bana lete hain….aur kisi khaas samay par jab hum uske baare mein Asliyat jaante hain…toh surprise reh jaate hain..
Yeh story doosro ke baare mein ek achche Insaan ke roop mein sochne par majboor karti hai….yeh iski khaasiyat hai.
6) - Art of Bargaining
Yeh bahut important aur informative writeup hai…India mein bargaining ke bina agar koi cheez khareedi bhi jaati hai….toh sahi price hone ke baad bhi aisa lagta hai ki lut kar aaye hain….hehe…..yeh common activity hai har shopping ki….
Mickey ka last mein pressure naa jhel paana toh hasne par majboor kar hi deta hai….lekin best thing aapka author’s note laga…..jo bahut jaroori hissa hai..
7) - Unskilled Fire Extinguishers
Businessman Papa-Son ke beech apne business ko aur behtar banane ki koshishen padhne mein bahut mazedaar thi……Papa kalia ke tareeke sahi the….lekin unme kuch hadd tak samay ke saath naa badalne ki kami thi….wahin chote kalia….bhi Businees ki kuch zameeni cheezon ke baare mein bhoolkar sirf kitaabi baaton par dhyaan dene mein mashgool rahe….Lekin last mein lagi aag aankhen khone waali saabit huyi…..ki sabhi cheezon ko saath mein milakar ek naya frame dene se kaam sahi direction leta hai.
[8)] - Tea, I love you!
Tea ke baare mein likha gaya yeh writeup bahut Umda hai….Tea ko India ka National drink kaha jaata hai….uske saath har Indian ki koi naa koi khatti meethi yaad judi hoti hai…jaise ki iss kahani ki Naayika ki thi……uske 3 reasons bahut achche the….jinki wazah thi tea.
9) - AIDS Sufferer Vampire!
Kabhi Vampires ka hamla agar world par hua toh unhe khatam karne ka jo raasta hoga woh aapke iss writeup se hi baahar aayega…..Dialogues aur conversation bahut mazedaar likhe hain……Humein Vampire se poori hamdardi hai….jisko Anjaane mein AIDS ho gaya…bechara…haha
10) - The Consolation Gold
International Games mein unskilled players ke haarne ke baad hone waali cheezon aur Duniya ki baaton ka jo jawaab iss kahani mein Mr.Bham Bhokda ne diya tha….woh heart touching tha…..Duniya mein har cheez sirf jeet ya Haar ke naam se dekhi jaati hain…..unke peeche ki sachchai bahut kum log dekhna chahte hain……Jo kaamyaab hai….uske peeche sab paagal….aur jo nahin…woh kyun nahin…aisa sochna bahut kum logon ko achcha lagta hai…..lekin Ummeed ki kiran kabhi band nahin hoti….woh naya Savera jaroor laati hai…
11) - Just ‘Hear’ This!
Very funny poem…..bahut achchi tukbandi banayi hai…
12) – "Police, Please Save the Earth!"
Chote bachcho ka kuch gyaan dena bhi kabhi kabhi musibat le aata hai….aisa hi choti bachchi ALIA ke saath hua……haha…..
13)- 'Jehadi' Terrorist Interview
Haha..Yeh humein bahut pasand aaya…..kyunki terrorists ke baare mein har comedy angle hamesha humein aakarshit karta hai…chahe kisi movie mein ho ya kisi show mein….
Lekin yeh kaaphi chota interview raha…..kabhi isse multiple terrorists ke saath lamba likhiyega..
Enjoyable read.14) - 'True' is 'False'
Aap bani banayi cheezon aur raaston se alag sochkar jab bhi kuch likhte hain….woh ek bahut high level par gaya lekhan hota hai….yeh writeup bhi aisa hi hai.
Ek biwi ka apne sasuraal waalo ko Dowry ke jhoote case mein fasaane ki koshish karna aur aakhir mein haalaat se laachaar pati ke haathon se uska khoon hona…..pehli baar mein padhne par achcha lagta hai….lekin kai sawaal chhod jaata hai…..
@Aaj ki Aurat Aadmi ke saath khade hone ke baawjood kya itna neeche kaise gir sakti hai…woh bhi Bhaarteey Naari….Aisi auratein hoti hain…lekin abhi bhi rishto mein sachchai aur Aatmeeyta zinda hai…
@Achche log bhi kis tarah Social generalize se nahin bach paate….unhe hi ussi line mein khada dekha jaata hai…jahan real culprit hote hain.
@raman ne haalat se majboor hokar aur aavesh mein faisla le toh liya…lekin aise cases mein doosre raaste kya ho sakte hain…yeh sochne waali baat hai…har jagah ek formula nahin chalta.
Yeh writeup…bahut sensitive matter ko underline kar raha hai….bahut badhiya.
Author’s note bahut Informative hai.15) -"Komodo Dragon Walk is sexier than Cat Walk!"
…..Komodo Dragon aur iss species ke saath jude huye kain praani bahut niraale andaz mein chalte hain….but aapne toh degree bhi measure kar li….. Hehe
16) – Best Bond
I am Speechless…..lekin phir bhi kehna jaroori hai…..Aap ek great young writer hain…..yeh aapki inn 24 stories mein sabse best story rahi hai….isliye nahin ki yeh lambi thi….ya isne humein bahut enjoy karaya…..balki isliye kyunki isse padhne ke baad Dil aur Dimaag mein ek ajeeb si bechani ubhar aayi….
Benoy jaise log iss duniya mein bahut rare hain….kisi ke dukh mein 2 min shaamil hona alag baat hai lekin kisi paraaye ke liye jo kuch Benoy ka raha tha…uspar aasaani se vishwaas nahin hua…..kaha nahin jaa sakta ki Benoy emotionally kamjor tha….ya uske andar doosro ke liye achchi feeling jyaada strong thi…
Lekin aakhir mein usne apni Uss Mother ke liye jo kiya woh kaaphi senti sequence tha aur uske saath har roj jo samay aage gujaarega….woh bhi..
Salute for this story.
17) - Are you Proud to be a Man/Woman?
Very true….lekin open fight mein bhi kya mazaa…closed fight are much better options….nahh…..hehe
18) – Rates of Education
Vandan and chandan…Good Boy Bad Boy..bachpan mein 2 twins ki shararaton par likhi yeh story bahut enjoyable hai…..dono teachers ke naam aur kaam dono hi mazedaar hai……last mein jis tarah se Chandan ne apne teacher ko terrorist saabit kar diya….woh leveled comedy ka jordaar example rahi….
Bahut badhiya.
19) – India = (U.S.A. + Africa)/2
Bahut achche facts aur data diye hain iss equation ko proove karne ke liye…..Nice.
20) - The Making of ‘Dirty’ Scene in a Bollywood Movie
Yeh story bahut mazedaar rahi……Bollywood mein scenes ke picturisation kaise hota hai….ek chota sa ex thi….
21) - Infecting Infatuation
Well humein nahin lagta ki hum isko sahi review kar sakte hain…..yeh ek ladki ke kuch thode se samay ke bare mein aapke likhe shabdon ki kahani hai….jo ki sabhi kintu parantu se door maaloom deti hai….. Language mein aapne meaningfull words ka Use kiya hai….jo ki ghatna ke beech kya ho raha hai….usse ek tasveer ki tarah dikha rahi hai… yeh writeup aapki maturity ko dikha raha hai….ki aap kaise kisi ke manobhaavo ko dikhane ki kaabiliyat rakhte hain…..
22) – “The Earth Show”
Yeh waise shayad aap lamba likhna chahte the….lekin samay ki kami ne aisa hone nahin diya……shuruaat iski achchi huyi thi….kahani adventure par based banayi jaa sakti hai…..Agar kabhi isse poora karenge toh khushi hogi.
23) – “Fcuk Indian Police!”
Yeh Ek baap aur bete ke beech huye achche conversation ko dikhati hai jahan pita apni police ki job ki positivity show kar rahe hain aur beta unko galat saabit karne mein juta hai.
Isme job hi example dono ki taraf se diye gaye woh sahi hain….unhe dekhna ka nazariya alag alag kaha jaa sakta hai…aur yeh decide karna kisi ke bas mein nahin hai ki kaun sahi hai….
Nice observations about Police Job.
24) - Good & Bad Company
Yeh kahani kaaphi puraani Panchtantra ki kahani ka hi ek naya roop hai…..jisse aapne modern look de diya hai….lekin kahani se jo Shiksha mil rahi hai woh hamesha yaad rakhi jaane waali hai.
Allover Aapki yeh story book…..ek masterpiece hai….isme har tarah ki story hai…Emotional se lekar comedy tak…..Social se lekar fantasy tak…..ek complete entertainment package…..for some enjoyable hours.
Review dete samay mann toh hamesha karta hai ki kahani ke har hisse ke bare mein likhein…lekin aapki kahaniyan choti-choti thi….isliye agar aisa karte toh Ek Review ki book aur ban jaati….hehe
Har kahani ko alag se point dene ki bhi sochi…lekin phir humein laga ki aisa karna bhi sahi nahin….kyunki yeh kahaniyan points ke laayak nahin hain….matlab inhe point ke basis par count nahin kara jaa sakta.. Aapka yeh idea ki 24-25 stories ko ek saath publish karwaya jaaye…bahut sunder kadam hai…..yeh Book ek collectable work hai.....Best wishes hain humari taraf se iski success ke liye.
No comments:
Post a Comment