Freelance Talents Championship एक मंच है नयी प्रतिभाओं को एक खुले वातावरण में अपनी छुपी प्रतिभा को निखारने का.
इसको 2013 में श्री मोहित शर्मा के द्वारा फेसबुक पर शुरू किया गया है..और अपने पहले प्रयास में ही बहुत सफलता अर्जित कर चुका है!
इस पोस्ट में हम इस कांटेस्ट में 3rd स्टेज पर दी गई एंट्री का विस्तृत विवरण दे रहे हैं...इसमें हमारा सामना मिस रंजना शर्मा से था!
Official Facebook Group link >
https://www.facebook.com/groups/609222759102507/
Official Blog
freelance-talents-championship.blogspot.in
(Average Panel Rating : 68)
Nine imagination, write up and detailing but the pace of the story went little slow when the describing the scenes after the Sakshi’s presence comes into camera and telling the readers about the background of the “attacking tribal community”. Over all it is nice and whole thing was interesting.
Very clear visualizations while reading. Give more time to form loop by introducing characters well but still keeping the story unpredictable, so that when at the end we don’t feel like the ‘writer was scared that we would guess climax’ but rather reader should feel ‘Why I am so dumb, I should have doubted this first,’ which you did quite nicely but you can do even better.
इसको 2013 में श्री मोहित शर्मा के द्वारा फेसबुक पर शुरू किया गया है..और अपने पहले प्रयास में ही बहुत सफलता अर्जित कर चुका है!
इस पोस्ट में हम इस कांटेस्ट में 3rd स्टेज पर दी गई एंट्री का विस्तृत विवरण दे रहे हैं...इसमें हमारा सामना मिस रंजना शर्मा से था!
Official Facebook Group link >
https://www.facebook.com/groups/609222759102507/
Official Blog
freelance-talents-championship.blogspot.in
Round 3 (Match # 6) - Youdhveer Singh vs. Ranjana Sharma
*) - THE HUNT
(Youdhveer Singh)
(Pic : Bidholi, Dehradun - Mohit Sharma Trendy Baba)
Place : Joshimath Night 8 PM
Ek Scorpio....tez
raftaar garazte baadlo....kadakti
Bizliyon ko nazarandaaz karti huyi....bhaagi
jaa rahi hai.
Major Vijay Sabarwal....apne
3 Officers ke saath Uttrakhand....mein
kuch civilians ke baare mein ek Info paane ke....baad unhe khojne nikle hain.
Major- Ajay..kya lagta hai...Inn pahaado ke beech wo abhi
tak bache honge?
Ajay- Sir..baarish jis....tarah
se lagataar ho rahi hai...chances bahut kum hain..yeh toh unme se kisi....ladki ka mobile 1 minute ke liye
signal pakadne laga...aur humne uski....last loaction trace kar li.
Major- shayad tum nahin jaante. "Sakshi" bhi
army mein select huyi hai..posting ka wait kar rahi thi..par yahan fans gayi.. Humari
jaanch se pata chala ki lagbhag....ek
saal pehle uski....Didi bhi yahan
ghoomne aayi thi..jo Airforce mein thi...aur gayab ho gayi.....Sakshi uske
baare mein....koi clue pata karne ke
liye.... yahan aayi....magar usne apne iss mission ka....jikra naa toh apne ghar par aur naa
apne....saathiyon se kiya.......aur
kitna raasta bacha hai??
Varun- Bas sir...kuch....doori
par 45 degree west ki taraf jungle mein locate huyi thi...humein iss poore
radius....par khojbeen karni
hogi...par ab itni....raat mein
jaana sahi nahin...subah hone par hi jaana theek hai.
Major- yahan paas mein....koi
Rukne ki jagah...dikhe toh ruk
jaana.
Achanak kadakti....huyi
jordaar aawaaz....upar pahaad se
hoti hai...Driver ka dhyaan...uski
taraf jata hai.
Major- akk… Sodhi Bachao
Lekin Scorpio disbalance hokar neeche Nadi kinaare ki Ret
mein jaa girti hai ek bada paththar uske paas aakar girta hai.
Sodhi- aah..Sir aap theek toh hain.
Major-haan main theek hoon..bas jara pair mud gaya
hai...dekho Varun aur Ajay ko.
Sodhi(check karte huye)- dono behosh ho gaye hain sir.
Major- Damm woh aawaaz issi bade paththar ki thi...shayad
yeh upar se fisal kar neeche aa gira hoga... humare equipments bhi barbaad ho
gaye...Signal kaam nahin kar rahe ki madad bulaai jaa sake.
Sodhi paas ki nadi se paani lekar Varun aur Ajay ko hosh
mein laane ki koshish karta hai.
Varun-Sir..aap theek toh hain..
Major-haan..Ab humein yahan se chalna chahiye..baarish
tez ho rahi hai..thodi der mein yeh Nadi ka kinara paani se bhar jaayega.
Sabhi ek doosre ko sahara dekar Nadi ke paas ke jungle
mein chal padte hain.
Ajay-Sir.unn Civilians ko khojne ke mission ka kya
hoga..hum log khud hi ab kho se gaye lag rahe hain.
Major-Hum log Army se hain...aise haalaato ki aadat honi
jaroori hai..Right Captain Varun.
Varun-Yes sir...Hum log pehle Mission par dhyaan
denge..par uske liye planning se kaam karna padega.
Major-theek hai...yeh jagah sahi lag rahi hai..yahin tent
lagao..Kal subah hum log khoj par niklenge.
Sab log khana khaakar So jaate hain..Raat ke 2 baje
achanak Ek ladki bhaagti huyi Ajay ke tent mein ghus jaati hai.
Ladki(Roti huyi)-Bachao.. bachao.
Ajay (hadbadakar uththa hai)-Kaun ho tum...kya hua?
Ladki- Woh Bahar mere peeche
Ajay-Kaun hai tumhare peeche...Ruko main dekhta hoon...
Dono Tent se bahar aate hain...tabhi ek hatta-katta
shareer Ajay ko peeche se pakad leta hai...uski giraft mein fanskar Ajay ke
haath se Bandook chhootne lagti hai...Ladki cheekhti huyi doosre Tent mein
chali jaati hai.
Idhar Achanak ek Goli galti se chal padti hai aur Woods
mein ek cheekh goonjti hai...Woh badi aakriti Ajay ko chhod kar woods ki taraf
bhaagti hai.
Major...Varun..Sodhi apni guns ke saath kai round Fire
uss disha mein karte hain..magar koi aawaaz nahin aati..
Sodhi- Oye yaar Tu theek toh hai?
Ajay-haan main theek hoon...saala bada taakatwala tha.
Major-woh tha kaun..tumne use dekha?
Ajay-Nahin..woh peeche se aaya tha..par iss ladki ne
dekha hoga.
Major ladki ki taraf mudta hai.
Major-Kaun ho tum..aur woh kaun tha?
Ladki(Rote huye)-Mera naam Kanak hai...Hum kuch dost
yahan ek Durgam Mandir ke darshan par aaye the..magar bhaari barish mein raasta
band hone ke karan paidal jungle ke raaste aage badhne lage.. Raat hone par Ek
jagah Ruk gaye.. Raat mein achanak kuch Jungli logon ne hum par hamla kar diya
aur Mere Ek Dost ko maar diya.
Ajay- U mean yahan kuch Aadi waasi khooni jungli hain??
Kanak-haan.
Sodhi- yeh kya mazaaq hai..Aise jungli yahan..
Kanak(Gusse mein)-Yeh mazaaq nahin hai.
Varun-Ok.Ok par tumhare baaki saathi kahan hain?
Kanak-Mujhe nahin pata..Meri 2 saheliyan aur thi..Sakshi
aur Ritika...mere peeche ek jungli pad gaya tha..isliye main bhaag aayi.
Major-Sakshi?? Wahi jo Army mein hai?
Kanak-haan..Aap jaante hain use?
Major-Usne Base par kisi tarah se contact kara tha...Tum
logon ko khojne hi hum yahan aaye the.
Ajay- Great..yaani woh Zinda hai.
Major- Not sure kyunki ab tak kaaphi waqt beet gaya hai..
jaisa yeh ladki jungliyon ki baat kar rahi hai....kaha nahin jaa sakta ki jungliyon
ne ab tak unn dono ko zinda rakha hoga.
Varun- Lekin Sir..unhe khojne jaana hi padega.
Major-Right.Aisa karte hain..ek Aadmi baari baari se
pehra do...Subah hone mein kuch waqt hai..
Subah ki pehli kiran ke nikalte hi..Sabhi taiyaar hokar
Nikal padte hain....Kanak ke batai disha mein jaate huye dopahar ho jaati hai.
Kanak-Yahi woh jagah hai Sir..jahan humne Tent lagaya
tha.
(Woh jagah Khoon se latpath thi....Upar Oonche ped hone
ki wazah se Barish neeche tak nahin aa paayi thi..patharo par khoon ke cheente
saaf dikh rahe the..Ghaseete jaane ke chinh aur Ek Ungli ke milne ke baad yeh
confirm ho gaya tha ki wahan bahut hinsa huyi hai.)
Varun-Sir..Iss jagah ke haalaat bata rahe hain ki 1-2 log
itna sab nahin kar sakte.
Major- humein kis taraf jaana hai iska pata kaise
chalega?
Ajay-Sir..Humein alag alag jaana chahiye.
Major-don't be childish...Tum jaante ho isme kitna khatra
hai.
Ajay-Lekin sir..iske alawa koi aur raasta nahin hai...Bina
jaankari kisi ek taraf jaana samay barbaad karna hai.
Sodhi- Haan sir..Ajay ka kehna sahi hai...Humein planning
se mission ko poora karna hoga.
Major-Ok 4 Direction hain.Sab alag disha mein
jaayenge...Kanak tum Ajay ke saath rahogi.
Baaki sabhi (Salute karte huye)-Ok Sir….aur sab nikal
padte hain..Ek anjaane safar anjaani talaash par.
Sodhi chalte huye ek Nadi ke kinaare baithta hai...tabhi
kuch aawaaz aati hai...jaise koi Ped charmara ke gir raha ho...woh aawaaz ki
disha mein jaata hai... Zameen par usko khoon ki 1-2 boonde dikhti hain...woh Apni Gun nikaal leta hai.
Sodhi- Kaun hai...Saamne aa..
Tabhi Sodhi ko mehsoos hota hai ki uske kandhe par kuch
tapak raha hai..woh sirr upar karke dekhta hai.. Upar ped se aaya Ek Teer uski
aankh ke aar-paar ho jaata hai... woh wahin Gir padta hai.
2 Jodi pair wahan Nazar aate hain..jo uski laash ko
ghaseetkar le jaate hain.
Ajay aur Kanak Jungle ke beech maujood ek Lakdi ke toote
ghar ke saamne aa pahunche.
Ajay-Shhhhshh....Aawaaz mat karna...Yeh Ghar yahan
viraane mein kaise.
Kanak- Mujhe darr lag raha hai.
Ajay- Daro Mat..yahi Ruko...Main andar dekhkar aata hoon.
Ajay Halke kadmo se Ghar ke peeche ek khidki se jhaankta
hai..wahan kuch nahin dikhta...Woh pichle darwaaze ko halke se kholkar andar aata
hai...wahan chaaro taraf sabkuch toota hua hai...Zameen par kaai..Usko wahan
kuch kapde ke tukde milte hain....kisi ke rehne ka koi nishaan nahin milta....Ajay
bahar nikalta hai....Tabhi uske sirr par ek waar hota hai...Dhaad
Woh Zameen par Gir jaata hai aur Jungli uspar Laat-Ghoonso ki barish kar dete hain.... woh log
apni bhasha mein aapas mein bol rahe the..jo Ajay ko samajh nahin aata..woh
Uthkar unn par Toot padta hai..
Kanak ko ek pagal apni Girafat mein lekar khada hota hai...Tabhi Ek
Goli chalti hai..aur uss pagal ke Sirr ko Uda deti hai... Kanak aazaad ho jaati
hai.
Major- Ruk jaao.
Magar shayad kisi ko uski baat samajh nahin aati
hai...aur woh Ajay ko maarte jaate hain...Unme se ek Major ki taraf badhne
lagta hai.
Major-Ruk Jaao..Peeche hato..warna maare jaaoge.
Usko apni taraf aata dekhkar Major Trigger daba deta
hai.. Jungli Goli lagne ke force se 25 feet door jaa girta hai.
Bhaago Ajay..Kanak...Major Chillaya
Teeno Sirr par pair rakhkar bhaagne lagte hain...Major
aur Kanak ki raftaar jyaada thi...Magar Buri tarah se ghayal Ajay jyaada khoon
beh jaane ke karan Achanak behosh hokar Gir padta hai...
Kanak yeh
dekhkar chilaayi...Aage bhaag chuke Major ka dhyaan peeche aata hai...
Major-Ajay Hosh
mein…Aao…Kanak Humein…Ajay ko lekar jaana chahiye..woh Jugli kisi bhi pal yahan
tak aa phunchenge.
Kanak- Theek hai…..Neeche
Nadi beh rahi hai...Hum teeno ko usme koodna hoga...Hum Kum samay mein kaaphi
door nikal….sakte hain.
Major- kya keh
rahi ho..Yeh Baadh ka ayaa paani hai..Isme koodna maut ko daawat dena hai.
Kanak-Dekhiye…Baaton
mein samay barbaad mat kariye...woh dekho Jungli aa….phunche hain..Humein turant….koodna
hoga..Uthaao Ise.
Dono ne…Ajay ka
ek-ek haath pakda aur Nadi mein kood gaye…Paani ke tez bahaav mein…teeno jaldi
hi nazro se door nikal gaye.
Idhar Varun ek Aisi Badi si Basti
mein jaa pahuncha jisme saare ghar Zameen se Kuch upar....bane huye
the.....Varun ko achanak…kisi ladki ke cheekhne ki aawaaz aati hai....woh
cheekh ki disha mein bhaagta hai….Jhaadiyon mein chupa woh dekhta hai...ki 2 ladkiyan bandhi hain.. saamne kuch
Jungli naach rahe hain...Kuch baithe huye hain.
Varun sochte huye- Ho naa ho..yahi
woh Ladkiyan hongi...jinko main khoj raha hoon...magar akela inhe kaise
bachaaun...Pehle jaakar Major sahab ko yahan ka pata doon.
Tabhi woh dekhta hai Ek Jungli aata
hai..Ek Ladki ko uthaakar le jaata hai.
Varun-Oh shit...lagta hai mujhe…
inko khud bachana padega....Varun dheere dheere…chupta hua Unke Ghar ki taraf
badhta hai...Andhere ka faayda bhi usko mil raha hai..Achanak ek Kutta….uske
upar jhapat padta hai...jiski aawaz sunkar Jungli uski taraf badh aate
hain....Kutte ko Chaaku se maarkar….Varun ko wapas bhaagna padta hai....woh
jhaadiyon mein jaakar chup jaata hai...Magar Jungli uski khoj shuru kar dete
hain.
Idhar Kisi tarah Nadi se bahar
aakar….Kanak aur Major Ajay ko hosh mein laane mein safal ho jaate hain...Teeno
Aag jalakar baithe hain.
Ajay-Sir...Mujhe lagta hai..Unn
Ladkiyon ko khojne ka ab koi faayda nahin hoga..ab tak unke Zinda hone ka koi
suboot nahin mila.
Major- tum sahi Keh rahe ho...par
humein Varun aur Sodhi ka intezaar karna hoga...Jinhe maine subah tak Point 515 par milne ko kaha hai.
Kanak- Yeh Aap dono kya keh rahe
hain...Meri dost aur aapki ek soldier khatre mein hai aur aap usko…khojna nahin
chah rahe.
Major-Kanak aisi baat nahin hai...
hum logon ke transmitter….wagairah sab kharaab hain...Naa humare paas Poore
hathiyaar hain..naa Aage badhne ke liye koi saadhan..Ajay ki haalat tum dekh hi
rahi ho..aise mein humein wapas jakar madad lane….ki jaroorat hai.
Kanak- Aap log jaaiye..Madad
laaiye..Main yahan haath par haath rakhkar….nahin baith sakti..main khud
jaaungi..unhe khojne.
Itna kehkar….woh jaane lagti
hai...Major aur Ajay ek doosre ka chehra dekhte reh jaate hain.
Idhar….Varun kisi tarah Jungliyo ki
nazar se chupta hua…Ussi Jagah par pahunchta hai….jahan Sodhi maara gaya
tha...Torch ki roshni mein khoon dekhkar uski…sitti-pitti gum ho jaati hai.
Varun- Oh god...Sodhi issi taraf
aaya tha..kahin…yeh?
Varun aage badhta jaata hai..ki
achanak uske pairo ke neeche se…zameen darak jaati hai.. woh khud ko ek gehre
gadhdhe mein…gira paata hai...aur charo taraf se Bhaalo ki Nok uske….upar tik
jaati hai.
Arre Suno Kanak....Hum tumhe akele
nahin jaane de sakte...hum tumhare saath aayenge...Ajay aur Major bhi Kanak ke
saath….chal padte hain.
Idhar Jungli….Varun ko behoshi ki
haalat mein….apne kabeele mein le aate hain....Yeh ek Band…Bada sa Kamra
tha..jahan pehle se….Sakshi bandhi hoti hai....aur koi nahin hota.
Sakshi ke…..dheere dheere….aawaaz
dene par….Varun ko hosh aata hai..
Sakshi-Suno...hosh mein aao.
Varun-Aah...mera sirr ghoom raha
hai..kahan hoon main.
Sakshi-Tumhe….yeh Jungli yahan
laaye hain..tum kaun ho?
Varun-Mera naam….Varun hai...Main
aur mere…kuch saathi yahan tum logon ki khoj mein…hi aaye the.Magar….main pakda
gaya.
Sakshi-Oh…Thank God...shayad
tumhare saathi….humein khojte huye yahan aa jaayein...maine toh Ummeed hi….chhod
di thi.
Varun-Tum….kya sakshi ho?
Sakshi-Haan...Main yahan…Apni Didi ki
talaash mein aayi thi...magar inn…logon ne mujhe pakad liya.
Varun-Kya….tumhe Apni Didi dikhi…yahan
kahin.
Sakshi-Nahin...Magar iss kabeele ke
Raja….ko yeh pata chal gaya hai ki woh meri behan thi....Inn logon ke mere Bag
mein padi….meri aur didi ki photographs dekhi hain.
Tabhi…..2 Jungli Behosh Ritika ke shareer ko
lakar Beech….mein bane ek Taantrik numa ghere mein rakhkar…..chale jaate hain.
Kuch Jugli auratein…..uss Ghere
mein aati hain aur Behosh Ritika ke saare Kapde….utaarkar le jaati hain....Ek Jungli….wahan
ek bada Ghada lekar aata hai...aur Ritika….ke shareer ke upar udel…deta hai...Varun
aur Sakshi yeh dekhkar sakte….ki haalat mein aa jaate hain.....Behkar aata woh
Liquid….jab Sakshi ke pairo ke paas….tak aakar rukta hai..tab unn dono ko…..pata
chalta hai ki woh kuch aur nahin……balki Khoon hai.
Sakshi cheekhte huye...Nahin...yeh
tum sab kya kar rahe ho..chhod do Ritika ko.
Sardaar hanste huye…..wahan aata
hai...aur sabhi uske…..abhivaadan mein Jungli boli mein…..kuch naare lagaate
hain....Sardaar ek bade se Kursinuma Singhsan…..par jaa baithta hai.
Sardaar- hahaha...Aaj Humare Devta…..bahut
khush honge...Bahut Dino baad Bali ke liye…..koi kami nahin huyi.
Varun- Kameene...Thu hai…..tujhpar
jo humein baandhkar...kuch ladkiyon par apna…..zor dikha raha hai....Dum hai
toh Khol…..haath mere aur aa….maidaan mein.
Sardaar- hahaha...tera yeh tadpana…..aur
chillana bahut achcha lag raha hai...magar tu aur tere saathi…..bachenge nahin.
Itne mein Idhar Ek Boodha Tantrik…..wahan
daakhil hota hai..jiske haath mein Ek thaal hai...jispar kapda dhaka hua
hai...woh uss thaal ko lekar…..Sardaar ke paas aata hai..Sardaar uss thaal ka
kapda hata deta hai...aur Varun ki cheekh goonj utthi.
Varun..Sodhi..nahin...kameeno…..yeh
tumne kya kiya mere dost ke saath.
Sardaar- hahaha...Yeh sab tum logon…..ke
saath bhi hoga.
Itna kehkar woh…..Sodhi ke Sirr par
cheera lagata hai aur uska Dimaag nikaalkar khaa leta hai...aisa karte
hi..baaki Jungli ek taraf bhaagte hain...Sabki Nazar…..uss taraf ghoom jaati
hai...wahan Sodhi ka baaki shareer latak….raha hota hai...jo kuch hi der mein….Jungliyon
ke pet mein chala jaata hai.
Idhar woh Tantrik…..Ritika ke Khoon
se sane shareer par tantrik kriyayein…..karne lagta hai...aur phir usko Bali
vedi…..par le jakar ek jallad uski bali….de deta hai.
Idhar Ajay aur Kanak ke saath….Major
bhi Kabeele ke bahar aa pahucha....woh dono ko bahar nazar rakhne ko kehkar…..kabeele
ke andar ghus jaata hai....Chupta hua woh ek Jhopde ke paas…..jaakar rukta
hai..jiske andar se kisi ke baat karne ki aawaaz aa rahi thi...Jo Jungli bhasha
mein thi.
Jaldi se…..Garam Paani laao...Aaj
hi lagta hai samay…..aa gaya hai.
Major ko…..kuch samajh nahin
aata..magar woh…..Ek jhalak uss aurat ki dekhta hai jo andar karaah rahi
thi...aur shayad Pet se thi..
Jungli auratein…..jaise hi bahar
jaati hain...major andar daakhil…..ho jaata hai.
Major-Suno..Kaun ho tum?
Aurat-kaun...Aap kaun hain?
Major-Mera naam Major Vijay hai..Kya
Tum Sakshi ki behan ho?
Aurat-Sakshi..haan aap jaante hain
use.
Major… thandi aawaaz mein- Haan who…yahan
tumhe khojne hi aayi thi..magar khud pakdi gayi...Mujhe usko…..yahan se bachana
hai.
Aurat-Aap usko yahan se le
jaaiye..yeh sab pagal…Jungli hain...Main bhi yahan aayi thi..Magar yahan aakar
aap…dekh rahe hain meri haalat kya bana di hai...Roj yahan ka Sardaar…. mujhpar
kehar dhaata hai...Usne mujhe sirf isliye zinda rakha hai..taaki main usko ek
bachcha de sakun...Aaaaahhhh
Usko labour Pain shuru ho jaata
hai...Major chupkar…..bahar chala jaata hai...aur Varun se kuch doori se usko
Seeti numa khaas ishara karta hai.
Varun-Lagta hai…..Major aa gaye
hain...
Major Jugliyon ko chakata…..aur Ek
Jhopde se doosre Jhopde…..par kalabaaziyan khaata hua....Bandhe huye Varun tak….jaa
pahuncha.
Major-Ghabraao mat...Main chhudata
hoon...tumhe.
Major jaldi se Sakshi ke….bandhan
khol chuka hota hai..magar jaise hi Varun ki taraf…..mudta hai...peeche se Ek
lambi Talwaar…..uske Pet mein aa ghusti hai...aur hansta hua badsoorat shaqal
wala….Sardaar nazar aata hai..
Sardaar-hahaha...Issi Fauji…..ke
liye itna lambi baatein kar raha tha tu....yeh toh ek hi….vaar mein duniya….chhod
gaya..
Woh Sakshi ko haath….pakadkar le
jaane lagta hai...Varun uske pair mein pair fansakar…..rokne ki koshish karta
hai...Magar Sardaar….talwaar ka waar karke uski gardan ko….dhad se Juda kar
deta hai.
Sakshi….Sardaar ke haath par
kaatkar….bahar ki taraf bhaagti hai.
Idhar….hungama aur Dhuaan dekhkar
Ajay bhi….andar jaana chahta hai..Magar….Kanak usko….yeh kehkar rok leti
hai..ki Major ke aane ka intezaar kiya jaaye.
Ajay Binocular se…..dekhta hai ki….Ek
ladki bhaagti huyi Jugliyon ke beech se…..bahar ki taraf aa rahi hai.
Ajay- Mujhe lagta hai…..woh ladki
khatre mein hai...Mujhe usko bachane jaana hoga.
Itna kehkar Ajay….bhi Goliyan
chalata hua...Kabeele ke andar aa jaata hai...Kanak bhi uske saath…..hi andar
aa jaati hai.....Lekin kuch rounds ke baad….uski goliyan khatam….ho jaati
hain...aur saare Jungli teeno ko gher….lete hain.
Thodi der mein….khud ko ek Band
kamre….mein bandha paate hai....jiske peeche ek khaai….hoti hai..
Kamre mein…..ek taraf Sardaar….baitha
hota hai...Jisko 2 Jungli daasiyan…..sharaab Pila rahi hain.
Ajay- Kaun ho….tum log...iss tarah
itne….Nirdosh logon ko maarkar tumhe kya mil jaayega?
Sakshi- yeh sabhi….Cannibals
hain....Aadamkhor..Inhone tumhare sabhi saathiyon ko maarkar khaa liya...
Ajay- kya Major sahab….aur Varun, Sodhi..maare gaye?
Sakshi- haan.
tabhi ek jungli….aurat unki taraf
aati hai aur Kanak ko kholkar le jaane lagti hai.
Ajay-Nahin….Ruk jaao...Usko haath
mat lagana....Mujhse baat karo...Ruko.
Sakshi Ajay se- Yeh kaun hai
tumhare saath...kya tumhari saathi?
Ajay Surprise hokar- Yeh Kanak
hai...Tumhari dost..tum isse nahin pehchaan paa rahi.
Sakshi- Nahin yeh meri dost nahin
hai...tumhe koi galatfehmi ho rahi hai...Maine ise kabhi nahin dekha.
Background mein….ek bahut
suspenceful music….bajna shuru hota hai.....Ajay ki nazarein…..Daasi dwara le
jaa rahi Kanak ki taraf…..ghoomti hain....jo Ab tak Sardaar ke singhasan tak….pahunch
chuki hai....Sardaar usko…..pakadkar Ghoomta hai..aur dono ek lamba Kiss karne
lagte hain....phir Kanak apne western Kapde…..utaar deti hai...Uski Daasi usko
Jugliyon waali…..ek dress pehnne ko de deti hai..jisko pehankar woh Ajay ke
paas aati hai..aur uske chehre par….ek aankh
maarti hai.
Kanak- Hairaan..Pareshaan….Ab tak
nahin samjhe...ki main tumhare nahin....balki In sabke ke saath hoon...Main hi
iss kabeele ki Rani hoon...Rani...Jhatka laga naa...hahaha
Ajay- kyun......kyun kiya tumne yeh
sab...Itna bada dhokha..Maine tumhe bachaya tha.
Rani- Kisi ne....kisi ko nahin
bachaya hai...Woh ek naatak tha..mera tum logon ke beech....jaakar tumhara
bharosa....haasil karne ka...taaki tum sabko....Maut ke ghaat utara jaa
sake...iske peeche 2 wazahein thi....pehli Humara kabeela....Aadamkhor
prajaati hai...isliye hum yahan....ghane Junglo ke andar....rehte hain...aur bhoole
bhatke aaye....insaano ko nishana banate hain.
Ajay- aur Doosri Wazah?
Rani- Doosri wazah hai...humein ek
Aisi Bahari....ladki ki talaash thi..jo Bahadur ho...kyunki Main maa....nahin
ban sakti thi..aur iss kabeele....ko waris ki jaroorat hai...Humare Guru
Taantrik....ne Humein bataya tha..ki Hone wala....Yuvraj kisi Yudhdhak Maa....ki
kokh se hi aayega...isliye hum Apne jungli kabeele....ki kisi aurat ko iss kaam....ke
liye istemaal nahin kar sakte the...Humari kismat achchi thi...ki iss Ladki
(Sakshi)Ki Badi behan...ka pata humein Ek saal...pehle chal gaya...Usko jab
humne pakda tha..tabhi se Apne..Waaris ka intezaar humein hai...Jo Aaj poora
bhi ho jaayega..iss Ladki (Sakshi)ne apne ek....yantra ki madad se bahari....duniya
waalo se sampark...kar liya tha...humne isko roka toh magar....tab tak yeh apna
kaam....kar chuki thi..yaani bahar se yahan....log jaroor inhe khojne
aate...Iske saaman ki talashi....se humein pata chala ki....yeh toh Uss aurat
ki behan hai jo....ek saal pehle se yahan hai...isliye phir Mujhe yeh...saara
khel rachna pada...jo Teri maut par aakar khatam hoga...Tum logon ki gaadi par....chattan
girna haadsa nahin....humari kaargujaari thi..Main Joshimath mein hi pali badhi
hoon...isliye kaam chaalau Hindi aur Angrezi jaanti hoon...Jo thodi bahut...apne
pati ko bhi sikha di hai...isliye baaki Jungli tum logon ki bhasha....nahin
samajhte.....Ab tumhare saare sawaalo....ke jawaab mil chuke hain...Marte huye...aasani
hogi....hahahaha
Ajay- Bahari duniya....dekhne ke
baad bhi tum Inn Aadamkhoro jaisi ho...tumhe sharm....aani chahiye.
Rani aage aakar Ajay ke baal
pakadkar- Main Aadamkhor...Nahin hoon...Main Isliye hi yahan kum rehti
hoon...Lekin bahar ki duniya....ne mujhe kuch nahin diya....siwa dard ke..paida
hote hi....mujhe kisi ne kachre mein fenk diya...Ek budhiya ne mujhe pala...jo
shehar ki sadko par jhaadu lagati thi...main logon ki joothan khakar...badi
huyi.. Ek baar Jungle mein ghoomte huye...mujhe ek jaanwar se inhone
bachaya...aur phir main....inhi ki hokar reh gayi...Inhone mujhpar...kabhi koi
dabaav nahin daala..magar Rani hone ke naate....iss kabeele ke liye...mujhe
apne farz nibhaane hain.
Tabhi Iss baatcheet ko....ek aawaaz
rok leti hai.....Darwaaze se daasi ek bachhe....ko lekar aati hai....aur Rani
ke haath par rakhte huye kuch kaan mein kehti hai.
Rani- Ohh woh mar gayi....koi baat
Nahin.
Rani bachche....ki Jaanch karti
hai.
Rani- Yeh nahin ho sakta...
Sardaar- Kya hua?
Rani- Humein.... humara waairs....nahin
mil paaya...Yeh Ladki paida huyi hai...Offf... Itna lamba....intezaar…saari
mehnat barbaad ho gayi.
Sardaar- shaant ho jaao Rani...Shayad
Issi waqt....ke liye Devta ne iss ladki ko....yahan bhej diya tha...Ab jo kaam....iski
behan nahin kar paai woh....yeh karegi.
Phir Rani....Sakshi ki taraf Mudti
hai- Tujhe itne samay....Zinda rakhne aur Sardaar ke tere saath....waaris paida
karne ki koshish....se pehle humein kuch....Baliyan aur anusthaan....karne hi
the....jo sanyog se poore ho gaye hain...Iss baar Humare....kabeele ko uska
Yuvraj....mil jayega....(Le jaao isko....aur Sardaar ke liye taiyaar karo)Jungli boli mein).
Kuch jungli Auratein....naachti
huyi aati hain aur Sakshi ko....le jaati hain.
Ajay ko....Bali vedi par le jaaya
jaata hai aur pehle...uske haath...phir pair...kaat dete hain....Usko ulta
latkaakar...saara khoon nikaal kar ek bade se....bartan mein bhar....liya jaata
hai...background mein...Major aur Ritika ki laashein....bhi dikhti hain..
Rani naachti huyi....baaki Auraton
ke saath....Devta ki aaraadhana karne lagti hai....Thodi der baad....Sardaar
uthkar ek kamre....mein chala jaata hai..aur ek...Cheekh goonjti hai......Sab
ke sab hairaan hokar...uss kamre ki taraf nazar....uthaaye huye hain....ki
tabhi badhawaasi mein...Sardaar bahar bhaagta hua....aata hai aur aakar....ek
taraf gir jaata hai....Rani bhaagti huyi aati hai....usko palatti hai...toh
dikhta hai....Sardaar ka Guptaang Kat chuka hai..woh mar gaya hai.
Rani gusse mein....cheekhti aur
talwaar lekar...kamre ke andar jaati hai...jahan Sakshi uske....chehre par
chaaku se waar karke...bahar ki taraf bhaagti hai....Lekin chaaro taraf....se
ghir jaati hai...Sabhi Jungli uski taraf...toot padte hain...ki tabhi Pahaadi ke
neech se....Army Helicopter nikalkar Firing...shuru kar deta hai...Jungli kuch
samajh paayein....usse pehle hi Sabki....kati piti laashein idhar udhar....udne
lagti hain.
Sakshi ek surakshit jagah....par
chup jaati hai....Helicopter Neeche utarta hai aur usme se....Army Officer
nikalte hain...Sakshi paas aati hai.
Officer- Tum theek ho naa...Baaki
sab...kahan hain..Major Sabarwal.
Sakshi-Koi nahin....bacha
Officer- what..Humein....yahan se
nikalna hoga...chalo.
Helicopter....Sakshi ko lekar....Udaan
bharta hai...aur kshitiz par ojhal ho jaata hai.
Last mein....Nadi se ek khoon....se
latpath aurat ka haath....bahar nikalta hai..jisme ek bachcha hai.
_____________________________
*) - ''MAHESHWARI TOH MAREGA HI''
(Ranjana Sharma)
Mr.Gopinath Maheshwari did
not join his family for breakfast that morning. He didn't even step out of his
room. This was something very unusual.Often he was found in his study by this
time. The prominent businessman had called for a doctor instead. The entire
family was surprised.
"High blood pressure! I
suppose it was normal a week ago. Is there some kind of a problem?"
"NO or maybe yes I
suppose."Said Mr.Maheshwari.
And his wife could no more
pretend to be normal.A droplet escaped from her left eye and then another from
the right.
"Well! I might be of
some help." Said the doctor.
Just then somebody knocked
the door. It was Savita, just another maid.
"Sahab vo bahar police
wale aye hain. Bole apse baat krni hai."
Mr. Maheshwari jumped out of
his bed and rushed towards the hall followed by his wife. It was inspector
Khan,a very well known name in his field.
"Morning miste...."
"Thank God you are here.
Itna vaqt lag gya?Khair aap baithiye. Jaisa maine apko phone par btaya hi tha
raat ke lagbhag 2 bje the jab uska phone aya usne sirf itna kaha ki 'kuchh hi
din bche hain. Jo kr skta hai kr le maheshwari ko marna toh hai hi!"
"Sabse pehle aap hi ko
btana thik smjha. Ghar par bhi kisi ko kuchh pta nhi hai" said his wife.
"Hmm... Kisi pe shaq hai
aapko? Vaise ye hone ko 1 mzak bhi hoskta hai janab."
"Mazaak! mzak me koi
mujhe maarne ki dhamki dega?"
"Kafi logon ka aana
jaana hai yahan. Sbki introduction."
Mrs.maheshwari-"Me
kanchan inki wife. Ye niharika meri bahu Siddhant humara beta Akriti humari
beti. Ye Dr. Sinha 5 mahino se inka yahan lgatar aana jana hai. Baki sb naukar
hain... Shyama baki naukron ko bhi bulao.''
After being introduced to
everybody the police went away. They left 3 constables behind. The constables
were asked not to leave him alone even for a minute. The bunglow had never been
so silent. The unusual silence made it more difficult for the family. In the
evening inspector Khan came back again with a sad news, the call could not be
traced. It was a short one.
Just then entered Satish ,
Kanchan's only brother. ''Ye kya sun rha hun me, jija g apko kisi ne maarne ki
dhamki di hai? Arre inspector sahab kuchh pta chla?''
Kanchan- ''Ye mere bhaiya
hain. "
"Hmm, Ap log dhyan rkhen
aur hoske toh kuchh din ghar pr hi rhe."
..............
1 Mahina hone ko aya aur sbko
lgne lga ye sb kisi ne 1 mzak kiya hoga. Dhire dhire kuchh log toh is front
page headline ko bhulane bhi lage the. Bhut dino se office ka sara kaam
Siddhant aur Niharika akele hi dekh rhe the. Maheshwari sahab ab office jaana
chahte the par Kanchan manne ka naam nhi le rhi thi.
''Itna ghabraane ki zrurt nhi
hai. We'll call for Dr.Sinha aur fir agar unhone approve kr diya toh constables
toh hain hi.'' Well Dr.Sinha arrived and said his BP was normal. So for the 1st
time after that call he stepped out of his home. The police was careful. They
went to the office and returned but nothing happened. This made them even
confident. The following day Siddhant found a file on his desk. As soon as he picked
it up.
He found a paper falling out
of it. Well typed in bold red, '' Maheshwari toh mrega hi vo bhi aaj :D '' .
With an evil smilie. He rushed to the seminar hall where his father was sitting
in a meeting. He pushed the door with a bang and all wet with sweat ran towards
his father and took out a slip from his pocket. His hands were shivering.
Gopinath all shocked read through the paper and the constables immediately
asked everybody to move out of the hall. Inspector Khan was called who reached
the office in less than an hour with a few armed officers.
He took the slip and looked
for any kind of a clue. ''Who left the file in your office Siddhant?"
''Pta nhi! Subah
mere aane se pehle hi ye file mere desk pr thi.''
''Koi office se bahar nhi
jaana chahiye isse ye toh saaf hojata hai ki ye kaam kisi office wale ka hi
hai. Is vaqt priority Gopinath g ko sahi salaamat ghar pahunchana hai. Sabse
pehle parking area ke aas paas se sbko hatta do. 1 gaadi bahut security ke sath
inke ghar ke liye niklegi aur Maheshwari sahab ke kpde pehne hue me us gaadi me
rahunga. Jabki 2sri gaadi kuchh constables ke sath inke farmhouse jaegi aur
Maheshwari sahab aap mere kapde pehn kr 1 constable ke sath meri jeep me police
station jaaenge jahan se apke shehar se bahar jaane ka intzaam kr diya jaaega.
Kisi ko koi shaq?''
''Planning ke annusaar sbne
kpde badl liye. Seminar hall se parking tak ka raste par se sbko hatta diya gya
aur plan ke according sab gaadiyon me baith gye. Khan sahab ko yakeen tha ki
raste me unki gaadi pr attack zrur hoga. Vo chaukanne the. Farm house jaane
wali gaadi me bhi sab log chaukanne the. Jeep me baithe Gopinath sirf Khan
sahab ke plan ke bharose the. Vo bas Bhagwan se mannaten maangne me vyast the.
Udhar office me sub inspector
apni team ke sath sbse sawal jwab kr rhe the. Niharika ko bhi ghar ke liye
rawana kr diya gya. Aur Siddhant har 5 minute me apne papa ko phone krke unki
khabar puchh rha tha. Office se ghar ke raste pe achanak kuchh bikes ne Khan
sahab wali gaadi ka pichha krna shuru kr diya. ''Ho na ho yahi hain, chaukanne
rho sab log ye kbhi bhi hum par attack kr skte hain.''Police jwabi karryawahi
ke liye tyaar thi. Vahan farmhouse jaati gaadi 1 sumsaan se raaste par thi
jahan sab constables ki dhadkan tez ho chuki thi. ''Yahan zrur kuchh na kuchh
hoga'' 1 ne kaha.Police jeep me baithe Gopinath ko toh yakeen tha ki aaj vo nhi
bch skte unhone apne parivar ko akhiri khat likhna bhi shuru kr diya tha. Unki
jeep ke paas se niklne wali har gaadi ya bike unhe apne murderer ki sawari lag
rhi thi.Office ke swal jwab bhi kisi bhi kaam ke nhi lag rhe the.
Bikes Khan sahab ki gaadi se
aage nikalne lagi. ''Ye log pkka humara raasta bnd krenge.'' Udhar farm house
wali gaadi farmhouse pahunch hi chuki thi. Sab log gaadi se utr kr darwaaze ki
taraf bdhe toh darwaza khula paakr hairan hogye. Sabne apni banduken nikal li
aur 1 constable ne per se drwaze ko
dhhakka diya. Maheshwari sahab lagbhag police station pahunch hi chuke the.
Farmhouse ka darwaazaa kholte
hi andr 1 budhha sa insaan baitha dikha. ''Aee kaun hai be tu?''
''Sahab care-taker hun yahan
ka.''
'' Hilna mat smjhe. Radhe
iski talaashi lo aur Satya aur Manuj tum
ghar ki talaashi lo.''
Udhar Maheshwari sahab araam
se police station pahunche jahan se unhe airport lejaane ke liye dusri gaadi
khadi thi. Vo jaldi se us gaadi me baith gye. Khan sahab ki gaadi se aage
nikalte bikes jald hi ojhhal hogye aur vo bhi Maheshwari mention pahunch gye.
Farmhouse me bhi kuchh nhi mila sab theek tha. Office me bhi kuchh haath nhi
lgaa.
Inspector khan- ''
Mrs.Maheshwari ya toh ye sab mzaak hai ya fir dhamki dene wala office ka hi koi
hai jo puchhtaachh ke chlte office se bahar nhi nikal paya.Khair yahan security
ka pura intzaam hai. Gopinath ji plane me hain kuchh hi der me safe jgah
pahunch jaaenge matlab abhi ghabraane ki koi baat nhi hai.'' 1 ghante baad
Gopinath ne bhi phone krke ye btaya ki vo bilkul theek hai aur vahan unhe koi
khatra nhi hai. Sab logon ki tension kam hogyi pr puri raat koi bhi nahi so
paya. Raat guzar gyi.
Subah Gopinath Maheshwari ne
TV on kiya toh breaking news dekhte hi vo behosh hogye.
''Jaane maane businessman Sh
Gopinath Maheshwari ke bete Siddhant Maheshwari ki laash unke ghar ke raaste ke
pass mili.Lash ke pas se police ko note mila hai jispe likha hai
'' Maheshwari ko toh marna hi
tha........................''
Judging
The Hunt by Youdhveer Singh
(Average Panel Rating : 68)
Nine imagination, write up and detailing but the pace of the story went little slow when the describing the scenes after the Sakshi’s presence comes into camera and telling the readers about the background of the “attacking tribal community”. Over all it is nice and whole thing was interesting.
MAHESHWARI TOH MAREGA HI by Ranjana Sharma
Very clear visualizations while reading. Give more time to form loop by introducing characters well but still keeping the story unpredictable, so that when at the end we don’t feel like the ‘writer was scared that we would guess climax’ but rather reader should feel ‘Why I am so dumb, I should have doubted this first,’ which you did quite nicely but you can do even better.
Result - Miss
Ranjana Sharma wins the match and qualifies for Quarter Finals. Mr.
Youdhveer Singh is eliminated from Freelance Talents Championship.
Panel of Judges - FA Gang Stuffs Group Members headed by Miss Simmi Singh (Author, Artist & Social Activist)