Pages

Monday 30 December 2013

End of Year 2013 - A Look



Alvida 2013

Saal 2013 ka ant Aakhirkaar aa gaya...RC ne Announce kar diya hai ki Next set January ya febuary 2014 mein Release hoga.
Toh Naye Saal mein jaane se pehle Peeche mudkar aaiye dekhte hain Saal 2013 kaisa raha.

"Iss Poore saal mein RC ne 5 Sets mein 18 'New' Comics nikaali... Pichle saal 7 sets mein 20 Comics ka Record tha."

Yeh rahi woh 18 'New' comics :-

SPCL-2519 RAVAN DOGA
SPCL-2520 CODE NAME COMET
SPCL-2521 SHUBHSYA SHEEGHRAM
SPCL-2522 RAAT KA BHAKSHAK
SPCL-2523 PREM PARIKSHA
SPCL-2524 VEERGATI
SPCL-2525 BREAKOUT
SPCL-2526 HUM SAB PAGAL HAIN
SPCL-2527 NEGATIVES
SPCL-2528 YUGAANDHAR
SPCL-2529 TAKBAK
SPCL-2530 MAXIMUM SECURITY
SPCL-2531 ANGAARE
SPCL-2533 CHANDULAL
SPCL-2534 NARAK NAASHAK
SPCL-2535 SARVYUGAM
SPCL-2537 POPAT MEIN JAAN
SPCL-2538 DO KATORA KHOON

Pichle Kuch Varsho ki tulna mein Iss varsh Comics ka Acchhe hona uski Kamaai ke aankado se tay karne ki ek nayi Cheez dekhne ko mili.
Saal 2012 se jiska bahut intezaar kiya jaa raha tha...Saal 2013 ki shuruaat "Ravan Doga" jaisi Comics se huyi...Isko likha tha Tarun Kumar Wahi-Mandaar ji ne..Comics aayi aur chali gayi....Phir Fans iss par saal bhar pratikriyaein dene se bachte rahe...Yahi Iss series ki vishesh roop se ullkehneey baat rahi...Doga ki Iss kahani ko lekhak Readers ke mann se jodne ki koshish karte toh dikhe...lekin manoranjan ke abhaav aur Ubaau kathanak ne aisa hone nahin diya.
Vaastav mein Ek taraf jahan Veergati aur CNC jaisi kahaniyan aa rahi thi..unke beech yeh Comics piskar reh gayi....aur Pathako se khud ko jod naa saki.
Tarun ji ne Iss saal Doosre writers ke saath milkar kahaniyan likhi..Koi Single Solo Comics nahin di...Bankelal ki Comedy kahaniyon tak simat chuke Doga series ke janak Wahi ji Iss saal Doga par kuch khaas kamaal nahin dikha sake.

Nitin Mishra ji ne Saal ka aarambh blockbuster VEERGATI ke saath kiya...jisne pichle saal ki Germany Series ko khatam kiya...Lambe waqt baad kisi ek Comics ne fans ke har VARG se tareef batori.
Iske baad aayi Bahu Pratikchhit Comics YUGANDHAR jo kaaphi pasand kari gayi...saal ke aakhiri mahino mein aayi ANGAAREY ne unki Hits ki Hat-trick ko poora kiya.
NARAK NASHAK Par mil rahi Mili-juli Pratikriyaaon ke alawa......unho
ne SARVYUGAM se ek nayi Mahagaatha shuru kar hi di....jispar 2014 mein sabse jyada nazrein bani rahengi....Classic THS "Ek katora Khoon" se Idea lekar Nitin Mishra ji ne 2 KATORA KHOON se safalta ke saath Saal ka ant kiya hai.

Anupam Sinha ji ne Iss saal sirf ek Comics di...NEGATIVES
Lambe samay se ban rahi aur Dhoom Dhaam se Release huyi yeh 160 Page ki Multistarrer Mixed Reviews se ghiri rahi..Aashaon ke Anuroop naa rehne ke baawjood Comics safal kahi jaati hai...Lekin ek sawaal de gayi ki Comics ki Safalta aur uske Behtar hone ke beech koi Judaav dekha jaana chahiye ya nahin.
Aisi stithi mein 2 KATORA KHOON jaisi Non-Superhero aur Low Promote Comics ki badi Safalta paana Ummeed deta hai...kuch kahaniyan apni Alag Class aur pathako ki khaas ruchi se bhi Dil mein jagah banane ki taakat rakhti hain.
Anupam ji se ek calender year mein 1 se jyada comics ki maang toh banti hain.

Iss saal Fans ke sabse chehte Hero Super Commando Dhruva ki 3 Solo comics aayi...CNC series...Jisko likha hai Mandaar gangele ji ne.
CNC series High Hyping aur Fans ke Josho-kharosh se Saal bhar charcha mein bani rahi...aur SCD ki pichle saal ki Doobti Naiya ko kaaphi hadd tak sambhaale rakhne mein safal rahi...Mandaar ji ek achche writer ke roop mein ubhare hain..Fans ne unse aage ke liye bhi kaaphi aashayein baandh rakhi hain....unhone T.K. Wahi ji ke saath milkar 2 part ki Ek Doga series bhi likhi..Jo aashaon par khari nahin rahi...Ab woh Doga ki kisi nayi kahani par jute hain...ummeed hai Fans ka Bilkul Nayi aur behatareen kahani se manoranjan karenge.

Artwork ke maamle mein Saal ki shuraauat "Ravan Doga" jaise Hairat angez kaam se huyi... jo Paarkhi nazron waale pathako ko kaaphi pasand aaya.

Hemant ji ne shuruaat CNC se kari..jo kaaphi Umda kaam tha...Unhone saal bhar mein 5 and half Comics banaai...yaani kaaphi vyast rahe....Iss vyastta aur kaam mein mehnat ka aalaam yeh raha ki saal ke antim dino mein unka preey Drawing Board bhi break ho gaya...Ummeed hai woh Naye Saal mein naye Board aur Dogune Josh se aur jyada chamak ke saath kaam karenege.

Anupam ji ki iss saal sirf NEGATIVES aayi..lekin akeli comics artwork mein sabhi par bhaari rahi.

Dheeraj Verma ji ne Saal ko Ravan Doga ke Doosre Part "Shubhasya Sheeghram" se shuru kiya...jo Average work tha....Saal ke ant mein SARVYUGAM bhi Aashao ke Vipreet Average raha hai...Kul milakar Dheeraj ji sirf upasththi darz karwa sake...unke kaam par Inking ki kami ka mudda bahut badi sankhya mein Readers ke beech charcha mein bana hai.
Naye Talents mein RAAT KA BHAKSHAK se Nityanshu Sharma ji ne kaaphi alag tarah ka kaam fans ko dikhaya...jo tareef ke kaabil raha...Wahin Sidhdharth Panwar ji ne ummeedon par tusharapaat kiya.
Lalit Singh ji saalo baad YUGANDHAR mein dikhe...jo unki Apaar kshamtaaon se kum raha..Ummeed hai woh aage wapasi karenge.

Saal ka sabse achcha surprise raha Shushant Panda ji ko ANGAAREY par kaam karte dekhna...Fans ki lambe samay ki demand ko RC ne poora kiya..Ek Action Multistarer Comics Sushant ji se banwakar...Der aaye par Durust aaye...Artwork kaaphi behtareen bana.
Bankelal par apni pakad ko bhi unhone banaye rakha..5 mein se 3 comics ka artwork bahut achcha raha..2 average rahi.
Bankelal Series ka Pathak Varg Facebook par kum hi dikhta hai..Naa uski Hype rehti hai...lekin Iss saal Bankelal ke baare mein Fans ne kaaphi kuch kaha aur usko pasand kiya.
Bankelal series ek khaas kaalkhand se hai...jahan sirf Hasya ko praathmikta di jaati hai...Iss saal Bankelal ki kahaniyon mein PREM aur UNMUKTTA ko khule taur par istemaal kiya gaya...jisne iss series ko aur Vyaapak banane mein aham bhoomika di.
Pathako ko Prem ke sagar mein dubaya gaya...wahin Sushant ji ne Iss sagar ki pariyon ko kalatmak aur sunder banane mein Kadi mehnat ka pradarshan kiya....Aakhir Result achcha hi nikla.

Vinod kumar ji ne 3 dhamake kiye iss saal...Inking mein pehle NEGATIVES,phir ANGAAREY aur saal ke ant mein pencilling mein 2 KATORA KHOON.

RC ki Coloring Team mein Ek naye Member bhi jude...Abhishek Singh....NEGATIVES ko Akele handle karne se shuru hokar...kai doosri comics bhi unhone behtar banai.

Iss saal 18 mein se Agar Top 3 Chunni ho toh isko alag-alag tarah se dekhkar chunna hoga....Ek Reviewer ki nazar se nahin...Jin conditions mein Comics bani....Uss comics ki Upyogita kya rahi...aur Jin logon ne kaam kiya...sabhi aspects ko dekhte huye...Humari Personal view se-

1-VEERGATI (Iss comics ne Reviewers se lekar ek aam Fan chahe woh 25 saal purana ho ya 25 mahine ya sirf 25 Din sabhi ko abhibhoot kar diya tha..aur yeh vishwaas banaye rakha ki abhi bhi achchi kahaniyan likhi jaa rahi hain).
2-CNC (First part hone ke naate...aur New writer ko parkhane mein iss comics ki bhoomika aham bani..Jis tarah se kahani ka taana-baana buna gaya...usne padhne waalo ke hosh uda diye).
3-2 KATORA KHOON (RC mein female lead par Naa ke barabar kaam hota hai...wahin THS bhi saalo se Dibbe mein band Genre hai...Lekin Aaj Single Story concepts mein Horror bahut pasand kari jaa rahi hai...isme Likhne ke scopes ki koi kami nahin hai..Iss comics se ummeed bandhi hai..RC THS ko dobara Mainstream mein wapas laaye).

Saal 2013 ko RC ne Kuch Bade Events se special banaya...RC ne Outside Promotions par kaaphi dhyaan,waqt aur Kharcha kiya...Events ko jyada se jyada Big banaya jaa sake...Jisme Fans ne bhi poori tarah se Support kiya....Fans ko Sampoorna MahaRavan aur Nagayan mili..Kai Special aur kuch Normal Comics bhi Fans ko "Collector's Edition" Tag ke saath di gayi...Saal ke ant mein Delhi mein Kai Rare Comics bhi Uplabdh karwaai gayi....jo ab Har Month Online store par bhi daali jaa rahi hain.....Kuch Super Specials bhi ab Available hain.aur Next year "Maine Maara Dhruva Ko" aur "Bheriya Kaun" jaise 2 bade Editions ko Dobara Print karwaya jaayega...yeh khabar bhi Fans ki khushi ko badha rahi hai....Iske alawa tarah-tarah ki Schemes aur Offers bhi samay-samay par diye jaa rahe hain...Jiska faayda pathak utha rahe hain.

Events ke dwara RC apne Fans ke aur jyada kareeb aayi....Delhi mein Fans ne apne Preey Creatives ko apne saamne paaya aur bahut achche pal bitaaye...jinki Pictures aur videos se sabhi FB Groups aur Pages bhare rahe...Iss Khushi ke mahaul ne RC ko jahan aur Naye Pathako ke beech pahunchaya wahin Apne Online store ko Doosri jaani maani companies ke liye kholkar Ek bade pathak Varg ko wapas RC ke kareeb laane ka raasta bhi khola...jiski sabhi ne prashansha kari.

Saal ke sabse charcha waale muddo mein Price Hike bhi raha....New Sets ke alawa...Special Collector Editions...Digests...Reprints, Rare Issues wagairah har jagah Iss cheez ka bolbala bana raha...Iss Gehma gehmi mein abhi bhi koi clearity nazar nahin aayi hai..Jiska matlab hai ki Next year bhi iss par baatein hoti rahengi.

Foreign ke muqable mein India mein Raj Comics akeli aisi company bachi hai jiske paas world level par jaane ki kuwwat hai...Lekin wahan ki Big Budget Industry yahan se kai-kai Guna badi hai....RC mainly Sirf Bade Super Heroes Par hi Daanv khelti hai....aur usko pata hai...Pathak bhi pehle Hero dekhta hai..baad mein kahani ya art.
Safalta aur Asafalta Dono hi yahan lagi rehti hai...lekin Jab Comics aane ka rate kum ho..tab choti si Safalta bhi badi ban jaati hai..wahin Asafalta se muhn fer liya jaata hai.

2013 kai maayno mein Yaadgaar raha..aur kai Cheezein abhi bhi Sudhaar maang rahi hain (Jinme New Comics ka production badhana mukhy mudda hai).
RC ne Dheere Dheere Rare Comics ko available karane shuru kara hai...lekin jaroorat Unn Rares ko hamesha Availabe banaye rakhne ki hai...Piracy ko khatam karne ka sabse achcha raasta...Har comics ko Available karana hi ho sakta hai..Kuch waqt ke Liye Kuch Fans Rares ko double/triple rate par le jaroor lenge...lekin yeh cheez Piracy rokne mein helpful nahin hai...Ummmeed hai RC isspar Vichaar karegi.

Itna tay hai...2014 kai kshetron mein Badlaav ka saal rahega..RC bhi kuch aur Naye aur Lambe waqt se intezaar kiye jaa rahe Projects Fans ke saamne pesh karne waali hai...Anupam ji par iss saal sabse jyada nazar bani rahengi....woh SCD Ki Solo par kai saal baad waapsi kar rahe hain...Wahin Nitin Mishra ji par Sarvnayak dwara 2013 ki RC ki Safalta ko aage le jaane ka Daromdaar hoga.
Anurag Kashyap bhi shayad Iss saal ke ant tak Doga ki Film ko aage badhane ka kuch announce karein.

Ant mein yahi ki...Sabhi Comics padhte rahein...aur Apna Bachpan Zinda rakhein.
Sabhi ko Naya Saal Mubarak : D _/\_

No comments:

Post a Comment