Overall rating | 3.3 | |
story | 3.5 | |
artwork | 3.0 |
Dhikaar ke Iss second Part Antardwand mein kahani Achchi likhi gayi hai....Bhokal ke Janam se judi huyi baaton ko Khola jaa raha hai....jo Aage bhi Aane waali Comics mein Jaari rahega.
Antardwand mainly ek Journey story hai....Bhokal ke Khud ko "Bhokal-Shakti" ke laayak saabit karne ki...Ab woh yeh Saabit kar paaya ya Nahin....yeh toh aap Comics padhkar hi jaan paayenge.
Writers se request hai ki Nayi Stories ko likhte huye Unme Naye Ideas ka Use karein.....Antardwand mein "Tilism"
Sequence Nagraj ki ek Comics se milta-julta likh diya gaya hai....Isse Story par Negative Effect padta hai.
Artwork mein Iss baar Pencil par Seedhe Color kar diya gaya hai....Yaani inking ke bina artwork banaya gaya hai.
Bina Ink ka Artwork Poori tarah se achcha nahin ban paaya hai....Pencil ke Unnecessary Strokes aur aadi-Tirchi lines saaf dekhi jaa sakti hain....RC ko Inking ke saath hi Artwork paas karna chahiye...jabki Glossy paper Use ho raha hai.
Overall Antardwand ek Mushqil Journey ka Happy end hai.

No comments:
Post a Comment