Pages

Wednesday, 24 April 2013

AXE


Overall rating 
 
4.0
story 
 
4.0
artwork 
 
4.0


Alter Ego ka doosra part yaani Axe.
Writers ne kahani ko poori speed ke saath aage badhya hai aur kai alag-alag sequences ko bhi achchi tarah se jagah di hai...Lekin phir bhi Axe se jitni high expectations thi...woh poori nahin ho paayi...jispar writers ko gaur karna chahiye.

Axe mein positive point raha hai...Dhruva ko ek baar phir se Mushqilo se ghira pareshaan dekhna...Ek Hero hamesha aasaani se jeet jaaye....yeh baat Hazam nahin hoti hai....isliye writers ka Dhruva par yeh prayaas bahut badhiya hai.
Axe mein Richa aur Blackcat ko itne lambe samay baad Majboot role mein dekhkar bahut achcha laga...Jske liye writers Badhaai ke Paatra hain....Side roles par unhone bahut mehnat kari hai....Story mein dikhaayi gayi cheezein aage aane waali stories ki jhalak deti hain...jo ki Achcha lagta hai.
Axe ke baare mein Aam rai yeh ban rahi thi...ki woh Dhruva ka dushman hai.....lekin wahi Future Villain aur Aakhir mein Dhruva se Dosti ho jaane waala Ghisa-Pita Angle daalkar Kahani ko padhne ka Romanch khatam kar diya gaya.
Aakhir Writers ne Risk lene ki koshish kyun nahin kari?....Pehle aayi comics mein jo ho chuka hai....Jaroori nahin wahi cheez dubara Dohraai jaaye.....Yeh Future mein Baar-Baar bheji jaa rahi Dhruva ki kahaniyo ka Ab Over-Dose hone laga hai...
Stories ko Simple Down to earth rakhiye...Aisa jyaadatar Readers ka kehna hai...
Humare hisaab se yeh kahani ek hadd tak jaisi likhi gayi hai....woh iske base par theek baith rahi hai......aur jahan tak kuch objections ka sawaal hai....toh Iss kahani ko kum se kum lagataar 2 baar padhne ke baad samjha jaa sakta hai....ki kahani mein kaun si cheez kis wazah se dikhaayi gayi thi...
Negative point Axe ki ending ka raha.....Jo ki Dead Or Alive ki tarah Bamb ki Tick Tick par Tika hua tha.....Lagaatar 2 Stories mein ek jaisa dikhne wala End???????
Aage iss taraf dhyaan deejiye ki Story ke end ka Kachra naa ho jaaye.

Artwork :- Hemant aur Jagdish ji ki Jodi ka banaya Artwork Dhyaan kheenchta hai.....Dhruva aur Richa kaaphi Achche bane hain....Thodi mehnat ki jaroorat blackcat par hai....Uski figure kai jagah Odd lagti hai.....Issi tarah last mein Natasha ke Hairs ko Curly banaya jaana chahiye tha....Kyunki yahi Uski Pehchaan hai.
Coloring mein bhi Sudhaar laane ki jaroorat mehsoos ho rahi hai....Comics mein color combinations sahi nahin lag rahe the....
Axe ke Overcoat ko agar Green ki jagah "Maroon" color ka banaya jaata toh aur badhiya lag sakta tha.....Rasheed ji Comics mein Jaroorat se Jyaada Green Color ka Use karte hain.....natural Trees Grasses waise bhi Green hoti hain....aur inke alawa Agar Characters bhi surroundings se hi milte julte color mein dikhne lagte hain.....toh achcha effect nahin aa paata.
Iske Alawa Jab Poori comics mein Richa ko Pink ya reddish color ke Top mein Dikhaya gaya hai.....toh last mein Natasha ko bhi Pink color ke Kapde kyun pehna diye gaye......Artwork mein Richa-natasha mein koi difference hi nahin bacha.
Iss taraf Rashid ji ka dhyaan dilaaiye.

Overall Axe ek achchi comics ki Rooprekha banati hai....aur aage aane wali Comics ka Platform taiyaar karti hai.

No comments:

Post a Comment