Pages

Thursday 25 April 2013

NEW WORLD ORDER


Overall rating 
 
4.5
story 
 
4.5
artwork 
 
4.5


Order of Babel se kahani aage badh chuki hai.....Ab isme aur bhi jyada pace aur suspence create ho chuka hai.
Comics ka first half sirf jordaar action scenes mein dooba hua hai....uske baad beech ke pages mein Nagraj ko kuch naye rahasya pata chalte hain.....jinke sahaare aakhir tak aate aate woh ek kila fatah kar chuka hai...lekin kya sachmuch uski yeh choti si fatah maanavta ke liye jaroori hai....ya phir huyi hai kuch galti....yeh next & last part "World War" mein hi pata chalega.
kahani poori tarah se entertaining hai.....har tarah se maza deti huyi....kai tarah ke rahasya aur jaankaariyan bhi deti hai yeh comics....WTS ke sabse achche issues mein se ek.

Artwork-
Hemant kumar ji ki Pencil dino din shandaar ho rahi hai....WTS ke yeh issues unke artwork se hi aur jyaada badhiya ban paa rahe hain.....unhone har tarah ke scenes draw karne mein maharat haasil kar li hai...unke doosre Heroes par works bhi aur jyaada dekhne ki ichcha ab badhti jaa rahi hai....
Jagdish kumar(Inker)....Jagdish ji RC ke naye Inkers mein iss waqt sabse best hain....unhone ab tak jis bhi comics mein apne jauhar dikhaaye hain...sabhi ke artwork ke level mein bahut sudhaar aaya hai.....NWO bhi issi tarah ki comics mein hai....jisme achchi Inking sabse jaroori part hai...aur usme Jagdish ji ne poora dhyaan rakha hai...unka kaam bahut badhiya raha hai.
Shadab Siddiqui(Color Effects)......Iss baar bhi OOB ki tarah hi Shadab ji ne poori mehnat aur shandaar color schemes ka prayog karke NWO ko sunder rang diye hain...Page no.28 toh shaandaar bana hua hai...poori comics chamak gayi hai.
Shadab ji ke kaam ke liye unhe badhaai.


Kul Milaakar NWO bhi gazab comics hai....aur isse jaroor padhiye.

No comments:

Post a Comment