Pages

Wednesday 24 April 2013

AVSHESH


Overall rating 
3.0
story 
3.0
artwork 
3.0


AVASHESH padhne ke baad yehi shabd mere dimaag mein aaye hain.Jolly ji
supernatural fictions ki stories likhne mein great hain jo ki AVASHESH mein bhi dikh raha hai.
Ab baat review ki karta hoon.

STORY:-Story ka plot do purani comics se inspired lag raha hai.Pehli hai "VINAASH" aur doosri hai "FUNKAAR".AVASHESH mein bahut saare rahasya hain jo ki hamare heroes ko hi samajh mein nahin aa rahe hain toh humein kya aayenge.
Mujhe itna toh lagta hai ki yeh praacheen nagri shayad kisi doosare dimension se aayi ho
sakti hai.WATER DAM ko bachane wala Nagraj bhi asli nahin hai balki shkal aur shaktion se doosri dimention ka lag raha hai.Isliye uske saath hi saudangi bhi double ho gayi hai.Naagraani ki surprise entry se bhi yeh proove ho gaya hai ki chakkar alag-alag dimensions ka hi hai.Praacheen nagri ke girne se mahanagar ko nuksaan ho raha hai lekin yeh kaun se dimension ka mahanagar hai yeh bhi pata nahin chal paya.Iss sab mein europe ka HEDRON COLLIDER kahan fit ho raha hai?
Ab inn sab dimaag ghuma dene wale sawaalon ka jawaab toh CHUNAUTI mein hi milega.
AVASHESH mein Dhruva ka role kisi kaam ka nahin hai.Aisa lag raha hai ki Dhruva
ko jabardasti kahani mein dalaa gaya hai.Mera sochna hai ki CHUNAUTI mein saara action aur
drama Dhruva ke khaate mein aana chahiye.
AVASHESH mein saara time CHUNAUTI ki bhoomika banane mein hi chala gaya hai.
Kahani thodi uljhi huyi si hai.Pehle kai kahaniyon mein bhi humnein double nagraj dekhe hain,
lekin iss baar shayad humein kai nagraj aur Dhruva dekhne ko milne wale hain.
AVASHESH ko unique idea toh nahin kaha ja sakta.Story OK-OK hi hai,shayad CHUNAUTI
isse jyada achchi ho.

ARTWORK:-

AVASHESH mein bhi Anupam sir ka artwork hai jo ki achcha lag raha hai.Lekin
pictures mein woh taajagi nahin lag rahi hai jo ki NAGRAJ-DHRUVA ke 2in1 mein honi chahiye.kai jagah characters ke movements mein dohraav lag raha hai.Shayad time limit ki wajah se Anupam ji artwork poore itminaan se nahin banaa paa rahe.OK,ab baat inking ki.Hum abhi bhi Anupam sir ki pencilling par vinod kumar ji inking ko hi miss karte hain shayad isliye doosre inkers ki mehnat se ki gayi inking bhi humein vinodji ke level ki nahin lag rahi.
AVASHESH mein vineet sidharth ji ne STATUE aur GAME OVER se achchi inking
ki hai lekin characters ke face-expressions par abhi bhi bahut kami lagti hai.
Chehre alag frames mein alag-alag hi lag rahe hain.
Waise page 48-74 ki inking best hai.

No comments:

Post a Comment