Pages

Thursday 25 April 2013

SAMUDRI LUTERE


Overall rating 
 
4.0
story 
 
4.0
artwork 
 
4.0


Ek baar phir aa gaye hain Fighter Todes waapas....Nagraj aur SCD ke saath....
kahani hai ek aise safar par FT...SCD aur Nagraj ko bina kisi jaankaari ke villain dwara bheje jaane ki jo ki kisi doosre aayaam mein hai......Iss safar mein bahut si mushqilein bhi unke raste mein aa rahi hain....lekin sabhi bahaduri ke saath sabse ladte jaa rahe hain...
lekin iska matlab yeh nahin hai ki comics mein sirf action hai....kahani full comedy se bharpoor hai....Nitin ji ne aise aise shandaar dilaogues likhe hain...jinhe padhkar hasi se lot pot ho jaayenge sabhi...SCD aur Nagraj ko bhi itne funny aur halke phulke mood mein dekhna kabhi kabhaar achcha lagta hai....aur Fighter Todes toh hain hi sabke baap.

kahani mein SwarnNagri bhi involve hai...Shilpaatri aur Dhananjay ke bhi role hain....aur ek aisa Tota jiske baare mein Aap comics se hi jaane toh jyaada achcha rahega...naam hai "Balma Popat..
Iska Next part "Belmunda ka khajana" hai...

Artwork....
Stuti Mishra ji ne Artwork banaya hai...jo ki Nagraj aur SCD ke hone ki wazah se unke upar kaaphi zimmedaari aa gayi thi...ki woh isse shandaar roop dein...aur isme woh kaaphi hadd tak safal rahi hain....unki mehnat dikhaayi deti hai...ki woh inn sabhi ko achchi tarah se sambhal sakti hain.
Shadab bhai ke color effects bhi achcha mood dete hain artwork ko.

Readers ko yeh comics bhi jaroor padhni chahiye.....behtareen kahani aur comedy ke liye.

No comments:

Post a Comment