Pages

Thursday, 25 April 2013

KEERTI STAMBH


Overall rating 
 
2.5
story 
 
2.5
artwork 
 
2.5


Lambe samay baad Bheria ki waapsi huyi hai iss comics se....
Kahani mein Jungle ki ek pratiyogita hai....jisme sabhi kabeelo ko apne apne Keeertistambh par Jungle ki durlabh cheezein lagani hain.....iske baad saari dhamachaukdi aur bhagam bhaag hi hai.Kahani mein 5 purane villains...Tantanna...Elphanto...Kaigula..Daudand aur 5th(yeh secret hai).
toh baat story ki....yeh kahani shuruaat mein bahut achchi lagti hai...jab tak praiyogita shuru nahin hoti....lekin uske baad ek jaisi chalne lagti hai.....Main cheez yahan ek shadyantra hai...Bheria ke khilaaf...lekin jis tezi se woh shadyantra safal hota hai ussi tezi se khatam bhi kar diya jaata hai....aisa lagta hai ki yeh kahani sirf 5 villains ke lambe samay baad darshan karaane ke liye hi likhi gayi thi.....iske alawa iska koi motive poora nahin hua...naa toh yeh Purane Bheria ka charm waapas lauta paayi aur naa hi kuch manoranjan de paayi...

Artwork....
Sushant ji ki pichli Van Rakshak series ke baad aise artwork ki ummeed nahin thi.....Shuaruaat mein jo artwork achcha dikhta hai....woh aage jaakar bahut kharaab ho jaata hai...Page 15 ek example le sakte hain...lekin iske baad har page mein kahin naa kahin kami dikhti hai....Inking bhi proper tareeke se nahin kari gayi hai......RC ke level ka work hi nahin hai....Ek taraf WTS aur Samudri Lutere yahan tak ki Doga Diaries ke artwork hain..aur doosri taraf Keertistambh....yeh set ki sabse low artwork waali comics rahi hai....Sushant ji ko bahut sudhaar karne ki jaroorat hai.

Shadab ji ne acche effects diye hain...lekin kamjor artwork ke neeche unhone bhi dum kho diya..

Keertistambh ek kaam chalaau comics bankar reh gayi hai....Bheria ko isse jyaada achche level ki jaroorat hai.

No comments:

Post a Comment