Pages

Thursday 25 April 2013

ORDER OF BABEL



Overall rating 
4.5
story 
4.5
artwork 
4.5

Lagbhag 2 saal ke baad aayi Aatankharta Nagraj ki Germany series ki shuruaati comics hai yeh...jiske aage kai parts hain...isliye yeh single comics ussi tarah se rate kari jaani chahiye..jo ki jyaada sahi hoga.
Aatankharta Nagraj ki kahaniyan jo suspence aur thrill maangti hain....woh iss comics mein lambe samay baad dikhaai de raha hai...kahani first page se lekar last page tak kahin bhi ruki huyi nahin lagegi...aur reader ko har samay aage padhne ki utsukta jagaati hai.
Germany mein Terrorism ek alag roop mein dikhaya gaya hai...jisme kuch fantasy bhi nazar aa rahi hai...reality se kuch alag...aage ke parts mein kaaphi kuch clear ho jaayega.
Artwork mein ek baar phir se Hemant ji aur jagdish ji ki Jodi ne kamaal kiya hai....Ek real battle field aur germany mein hone ka poora aihsaas artwork kara raha hai..Hemant ji ke banaye huye Action scenes bhi jaandaar hain...Rain scenes mein jagdish ji ka kaam bhi Umda hai.
Hemant ji ko bas ek sujhaav hai...ki alag alag Comics banate huye...jo Female yaani Girls roles hote hain...unme kuch difference rakhiye.....OOB mein dikhi LOLA aur last set mein aayi SCD ki comics AXE mein dikhi Richa mein koi farq nahin dikh raha...face cuts se lekar kapde aur hair style bhi same hain..iss cheez mein sudhaar par dhyaan deejiye.
Iss comics mein ek aur cheez hai...woh hai Shadab Siddiqui ji ke diye huye color effects...jinhone artwork ko aur khoobsoorat banaya hai..unhe aage bhi aisa hi work dete rehna chahiye

Yeh comics bhi har Nagraj fan ko achcha entertain karne mein safal rahegi.

No comments:

Post a Comment