Overall rating | 3.3 | |
story | 3.5 | |
artwork | 3.0 |
Kaaphi lambe Intezaar ke baad.........Doga ki Regular Comic LakshaBhedi Release huyi hai............Lekin Jitna Expect kiya tha.............Utna Mil nahin paaya.
Story:-
Story:-
Story Basically Doga par nahin........Balki Uske Chacha Kaali Mirch ke Upar hai.............Jo ki Doga ke Guru bhi hain...........Jinhone India ko Doga ke saath-saath Shooting ki Duniya mein kai Khilaadi aur kai Trained Officers bhi diye hain.
Yeh Comic unke upar hai............Unki life ki Pareshaaniyo.................Aur musibaton ko dikha rahi hai.............Ek Villain hain Dedo......Jisse Achche Shooters se nafrat hai..............Aur uske kai Sharp-Shooters jo ki Mumbai mein Apna Jungle-Raaj chalana chahte hain............Doga ka Sooraj ke Roop mein Police ke saath Jhagdna.......Aur bhi Kai Rochak Incidents Story mein hain.
Artwork:-
Image Studio(Manu ji) ka Artwok hai............Jo apni Purani Doga Style mein hai..............Lekin RC ne Ek galti kar di.........Aur woh hai Sagar Thapa ji ke Upar LakshaBhedi ki Inking ka bhi Extra Load daal diya................Hedron ke Alawa LakshaBhedi ki bhi inking Unhi se karwakar Thapa ji ko Work karne ke liye poora Itminaan nahin mila paaya hoga.............Jiski wazah se Artwork ki Inking Sirf Dekhne laayek nazar aa rahi hai.
Usse Awesome nahin kaha jaa sakta................RC ko dhyaan rakhna chahiye Aisi cheezon ka................Manu ji Ke Hone ke baad bhi woh pehle waali baat aa nahin paayi.
LakshaBhedi Sirf Series ka First part hone ki wazah se jyaada Comments ke laayak nahin hai............Laksha-Purush ka Intezaar kariye.
No comments:
Post a Comment