Pages

Thursday 25 April 2013

DOGA DIARIES-2

Overall rating 
 
4.3
story 
 
4.5
artwork 
 
4.0


8 Stories waali DD-2..
Inn stories mein Main Focus raha hai....womens ke against aajkal ho rahe apraadho ki taraf....kis tarah se aaj ke samay mein ek ladki par alag alag tarah se atyachaar hote hain......Doga ne aise cases mein bahut achchi bhoomika nibhaai hai aur samaaj ko bhi sandesh diya hai....raah dikhaayi hain....
2-3 kahaniyan...chote bachcho par julm ki kahani dikha rahi hain....jo ki Dil mein dard paida kar deti hain...ki samaaj
aaj kahan jaa raha hai....kya sachmuch Bina Doga ke yahan koi nahin hai jo isse badal sakta ho...

Doga Diaries Raj comics ki taraf se ek shandaar prayaas hai....jo ki crimes ke against ek karara jawaab hai....DD
ko aur jyaada bade level par publish karwaya jaaye....aur aisi hi achchi stories di jaati rahein...Best Of Luck RC.

Artwork....Yeh stories kyunki 10-10 pages ki hain...isliye RC ki taraf se naye naye talented artists ko inme mauka diya jaa
raha hai....aur sabhi naye artists bhi apni poori koshish kar rahe hain....inhe sunder banane mein....Ek artist ka Kaam hota hai
kahani ke maahaul ke according artwork taiyaar karna....
jaise DEMO aur MIDNIGHT CHILDREN mein Nityanshu Sharma ji ne kahani ke hisaab se hi artwork banaya hai..

Pankaj Naaik aur Mayur Sekia ji ne jo Artworks banaye hain....woh humein bahut pasand aaye.....Unhe aur mauke diye
jaane chahiye.

Lalit Singh aur Lalit Kumar Sharma ji toh kaaphi senior hain....unhone bhi bahut achcha kaam kiya hai..

Doga Diaries-2 unn logon ko kaaphi pasand aayegi jo...Nayi stories aur naye artworks ka welcome karte hain.....Die Hard
kisi writer/artists ka hi kaam pasand karne waalo ko dikkat ho sakti hain.

But RC ka yeh work achcha hai.

No comments:

Post a Comment